Javed Nadeem

uske apne darmiyan istada ek diwar main

Javed Nadeem

us ke apne darmiyāñ istāda ik dīvār maiñ
ek dasht-e-shādmānī us meñ ik āzār maiñ
maiñ nahīñ thā tū hī thā aalam meñ lekin tere ba.ad
ai ḳhudā-e-izz-o-jal terā huā iz.hār maiñ
sham.a se hai nuur jaisā terā merā insilāk
varna tū bahtī havā hai phuul kī mahkār maiñ
baḳht kī sāzish kahūñ yā phir mashiyyat ġhaib kī
tīr-zan koī bhī ho lekin hadaf har baar maiñ
kal talak us kā rahā thā dil ko mere ishtiyāq
aaj vo nazdīk hai par us se huuñ bezār maiñ
ik na ik din to musaḳhḳhar us ko honā hai 'nadīm'
vo ḳhalāoñ kā makīñ hai nuur kī raftār maiñ
Top Urdushayar.com