Javed Nadeem

kaghaz ki naw kya hui dariya kidhar gaya

Javed Nadeem

kāġhaz kī naav kyā huī dariyā kidhar gayā
bachpan ko jo milā thā vo lamha kidhar gayā
ma.adūm sab huiiñ vo tajassus kī bijliyāñ
hairat meñ Daal de vo tamāshā kidhar gayā
phir yuuñ huā ki log mashīnoñ meñ Dhal ga.e
vo dost lab pe le ke dilāsa kidhar gayā
kyā dasht-e-jāñ kī soḳhta-hālī kaheñ ise
chāhat meñ chāñd chhūne kā jazba kidhar gayā
tārīkiyāñ haiñ saath mire aur safar mudām
kal tak thā ham-qadam jo farishta kidhar gayā
jo rahnumā the mere kahāñ haiñ vo naqsh-e-pā
manzil pe chhoḌtā thā jo rasta kidhar gayā
Top Urdushayar.com