Javed Nadeem

zaKHm agar gul hai to phir us ka samar bhi hoga

Javed Nadeem

zaḳhm agar gul hai to phir us kā samar bhī hogā
hijr kī raat meñ poshīda qamar bhī hogā
hausla daad ke qābil hai yaqīnan us kā
us ko ma.alūm thā dariyā meñ bhañvar bhī hogā
kaun suntā hai yahāñ past-sadā.ī itnī
tum agar chīḳh ke bolo to asar bhī hogā
kuchh na kuchh raḳht-e-safar paas bachā kar rakhnā
ik safar aur pas-e-ḳhatm-e-safar bhī hogā
mutma.in rahiye yūñhī ḳhud ko tasallī diije
yahī jiinā yahī jiine kā hunar bhī hogā
umr guzrī hai isī ek tamannā meñ 'nadīm'
mujh se be-ghar kā kahīñ shahr meñ ghar bhī hogā
Top Urdushayar.com