ye kis ke āsmāñ kī hadoñ meñ chhupā huuñ maiñ
apnī zamīñ se uTh ke kahāñ aa gayā huuñ maiñ
bādal meñ chhup gayā hai jo sūraj tū hī to thā
jo jal rahā hai ghar meñ vo raushan diyā huuñ maiñ
jā.egā tū jahāñ bhī rahūñgā maiñ tere saath
tū abr-e-be-niyāz to bahtī havā huuñ maiñ
rah kar bhī har maqām pe dikhtā nahīñ hai kyuuñ
kab ḳhud ko apne-āp meñ āḳhir milā huuñ maiñ
tere azal abad ke kināroñ ke darmiyāñ
kartī hai bāzgasht jo aisī sadā huuñ maiñ
phir yuuñ huā ki raushnī had se sivā huī
ḳhurshīd-e-zau-fishār thā dekho bujhā huuñ maiñ
hotā zafar qarār jo nashtar nahīñ huā
'jāved' dasht-e-sher meñ be-dast-o-pā huuñ maiñ