Akhtar Hoshiyarpuri

harf-e-be-awaz se dahka hua

Akhtar Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1918-2007
harf-e-be-āvāz se dahkā huā
ik diyā huuñ taaq meñ jaltā huā
is taraf dīvār ke bhī maiñ hī thā
us taraf bhī maiñ hī thā baiThā huā
āñganoñ meñ phuul the mahke hue
khiḌkiyoñ meñ chāñd thā Thahrā huā
kore kāġhaz par ajab tahrīr thī
paḌhte paḌhte maiñ jise andhā huā
kyā kahūñ dast-e-havā ke shobade
ret par ik naam thā likkhā huā
mere ḳhuuñ kī gardisheñ bhī baḌh ga.iiñ
us qabā kā rañg bhī gahrā huā
uñgliyoñ meñ us badan kā loch hai
rañg-o-ḳhushbū kā safar taazā huā
raat bhar jis kī sadā aatī rahī
sochtā huuñ vo parinda kyā huā
jāgtī āñkhoñ meñ 'aḳhtar' aks kyā
maiñ ne dekhā qāfilā jaatā huā
Top Urdushayar.com