har ghaḌī qayāmat thī ye na pūchh kab guzrī
bas yahī ġhanīmat hai tere baad shab guzrī
kunj-e-ġham meñ ik gul bhī likh nahīñ sakā puurā
is balā kī tezī se sarsar-e-tarab guzrī
tere ġham kī ḳhushbū se jism o jaañ mahak uTThe
saañs kī havā jab bhī chhū ke mere lab guzrī
ek saath rah kar bhī duur hī rahe ham tum
dhuup aur chhāñv kī dostī ajab guzrī
jaane kyā huā ham ko ab ke fasl-e-gul meñ bhī
barg-e-dil nahīñ larzā terī yaad jab guzrī
be-qarār be-kal hai jaañ sukūñ ke sahrā meñ
aaj tak na dekhī thī ye ghaḌī jo ab guzrī
bād-e-tark-e-ulfat bhī yuuñ to ham jiye lekin
vaqt be-tarah biitā umr be-sabab guzrī
kis tarah tarāshoge tohmat-e-havas ham par
zindagī hamārī to saarī be-talab guzrī