qahat-e-vafā-e-ahd-o-paimāñ hai in dinoñ
zoroñ pe ehtiyāt-e-dil-o-jāñ hai in dinoñ
mal.ūn haiñ jo mausam-e-gul ke junūñ meñ haiñ
matrūk rasm-e-chāk-garebāñ hai in dinoñ
ye rasm-e-raftagāñ thī farāmosh ho ga.ī
apne kiye pe kaun pashemāñ hai in dinoñ
āñkheñ haiñ ḳhushk sūrat-e-sahrā-e-be-giyāh
siina hujūm-e-ashk se giryāñ hai in dinoñ
ye kaisā ohda hai ki mirī chashm-e-ḳhvāb meñ
naqsh-e-qadam bhī dīda-e-jabrāñ hai in dinoñ
Dartā huuñ apne saañs kī suntā huuñ jab sadā
dahshat bahut qarīb-e-rag-e-jāñ hai in dinoñ
dīda-daroñ ke ghar pe musallat hai tīrgī
andhoñ kī anjuman meñ charāġhāñ hai in dinoñ
bad-tar hai jānvar se bhī dānishvaroñ kā haal
jo sochtā nahīñ hai vo insāñ hai in dinoñ
har bul-havas dhanī hai muqaddar kā āj-kal
har be-zamīr sāhab-e-imkāñ hai in dinoñ
tujh se gilā nahīñ hai ki tū phir bhī ġhair thā
merā vajūd mujh se gurezāñ hai in dinoñ
jī chāhtā hai rū-e-zamīñ par bikher duuñ
jo dard merī ruuh meñ pinhāñ hai in dinoñ
kaise chhuḌā.ūñ kaise likhūñ sharh-e-dard-e-nau
har ek lafz zīnat-e-zindāñ hai in dinoñ
yādoñ ke phuul hadd-e-nazar tak khile haiñ phir
dasht-e-firāq rashk-e-gulistāñ hai in dinoñ