Zuhoor Nazar

rakkha nahin ghurbat ne kisi ek ka bharam bhi

Zuhoor Nazar

Sahiwal, Punjab, Pakistan

1923-1981
rakkhā nahīñ ġhurbat ne kisī ik kā bharam bhī
mai-ḳhāna bhī vīrāñ hai kalīsā bhī haram bhī
luuTā hai zamāne ne mirā besh bhī kam bhī
chhīnā thā tujhe chhīn liyā hai tirā ġham bhī
be-āb huā ab to mirā dīda-e-nam bhī
ai gardish-e-ālam tū kisī moḌ pe tham bhī
sun ai but-e-jāñ-dār but-e-sīmbar ai sun
toḌe na ga.e ham se to patthar ke sanam bhī
maiñ vasl kī bhī kar na sakā shiddat-e-ġham kam
aayā na kisī kaam tire hijr kā sam bhī
dīvār-e-sukūñ baiTh ga.ī shiddat-e-nam se
barsā hai mire ghar pe agar abr-e-karam bhī
tanhā.ī na pūchh apnī ki saath ahl-e-junūñ ke
chalte haiñ faqat chand qadam raah ke ḳham bhī
sahrā-e-ġham-e-jāñ meñ bagūloñ se bachā kaun
miT jā.eñge ai dost tire naqsh-e-qadam bhī
sunte haiñ chamaktā hai vo chāñd ab bhī sar-e-bām
hasrat hai ki bas ek nazar dekh leñ ham bhī
Top Urdushayar.com