Zuhoor Nazar

sahra mein ghaTa ka muntazir hun

Zuhoor Nazar

Sahiwal, Punjab, Pakistan

1923-1981
sahrā meñ ghaTā kā muntazir huuñ
phir us kī vafā kā muntazir huuñ
ik baar na jis ne muḌ ke dekhā
us jān-e-sabā kā muntazir huuñ
baiThā huuñ durūn-e-ḳhāna-e-ġham
sailāb-e-balā kā muntazir huuñ
jān-e-āb-e-baqā khoj meñ hai
maiñ mauj-e-fanā kā muntazir huuñ
khil jā.ūñgā apne aap se maiñ
tahsīn-e-sabā kā muntazir huuñ
is daur meñ ḳhvāhish-e-tarab hai
madfan meñ havā kā muntazir huuñ
maazī kī sazā bhugat rahā huuñ
fardā kī sazā kā muntazir huuñ
shāyad ki vahāñ mafar ho ġham se
tasḳhīr-e-ḳhalā kā muntazir huuñ
hāthoñ meñ hai mere dāman-e-shab
sūraj kī sadā kā muntazir huuñ
barsoñ se khaḌā huuñ haath uThā.e
tāsīr-e-duā kā muntazir huuñ
merā to ḳhudā kabhī nahīñ thā
maiñ kis ke ḳhudā kā muntazir huuñ
kahte haiñ jise 'nazar' musāfir
us ābla-pā kā muntazir huuñ
Top Urdushayar.com