dīpak-rāg hai chāhat apnī kaahe sunā.eñ tumheñ
ham to sulagte hī rahte haiñ kyuuñ sulgā.eñ tumheñ
tark-e-mohabbat tark-e-tamannā kar chukne ke ba.ad
ham pe ye mushkil aan paḌī hai kaise bhulā.eñ tumheñ
dil ke zaḳhm kā rañg to shāyad āñkhoñ meñ bhar aa.e
ruuh ke zaḳhmoñ kī gahrā.ī kaise dikhā.eñ tumheñ
dard hamārī mahrūmī kā tum tab jānoge
jab khāne aa.egī chup kī saa.eñ saa.eñ tumheñ
sannāTā jab tanhā.ī ke zahr meñ bujhtā hai
vo ghaḌiyāñ kyūñkar kaTtī haiñ kaise batā.eñ tumheñ
jin bātoñ ne pyaar tumhārā nafrat meñ badlā
Dar lagtā hai vo bāteñ bhī bhuul na jaa.eñ tumheñ
rañg-birañge giit tumhāre hijr meñ haath aa.e
phir bhī ye kaise chāheñ ki saarī umr na paa.eñ tumheñ
uḌte panchhī Dhalte saa.e jaate pal aur ham
bairan shaam kā dāman thaam ke roz bulā.eñ tumheñ
duur gagan par hañsne vaale nirmal komal chāñd
be-kal man kahtā hai aao haath lagā.eñ tumheñ
paas hamāre aakar tum begāna se kyuuñ ho
chāho to ham phir kuchh duurī par chhoḌ aa.eñ tumheñ
anhonī kī chintā honī kā anyā.e 'nazar'
donoñ bairī haiñ jīvan ke ham samjhā.eñ tumheñ