din aise yuuñ to aa.e hī kab the jo raas the
lekin ye chand roz to behad udaas the
un ko bhī aaj mujh se haiñ lākhoñ shikāyateñ
kal tak jo ahl-e-bazm sarāpā sipās the
vo gul bhī zahr-ḳhand kī shabnam se aT ga.e
jo shāḳhsār-e-dard-e-mohabbat kī aas the
merī barahnagī pe hañse haiñ vo log bhī
mash.hūr shahr bhar meñ jo nañg-e-libās the
ik lafz bhī na merī safā.ī meñ kah sake
vo saare mehrbāñ jo mire ās-pās the
terā to sirf naam hī thā to hai kyuuñ malūl
baa.is mire junūñ kā to mere havās the
vo rañg bhī uḌe jo nazar meñ na the kabhī
vo ḳhvāb bhī luTe jo qarīn-e-qayās the