hayāt vaqf-e-ġham-e-rozgār kyuuñ karte
maiñ sochtā huuñ ki vo mujh se pyaar kyuuñ karte
na merī raah meñ taare na mere paas charāġh
vo mere saath safar iḳhtiyār kyuuñ karte
nigāh sirf bulāvā nahīñ kuchh aur bhī hai
ye jānte to tirā e'tibār kyuuñ karte
ġham-e-hayāt meñ hotā agar na haath tirā
to ham ḳhirad meñ junūñ ko shumār kyuuñ karte
koī to baat hai varna jafāoñ ke maare
tujhe bhulā ke tirā intizār kyuuñ karte
'nazar' chaman meñ agar vāqa.ī bahār aatī
to phuul ḳhvāhish-e-abr-e-bahār kyuuñ karte