Zuhoor Nazar

zulm to ye hai ki shaki mere kirdar ka hai

Zuhoor Nazar

Sahiwal, Punjab, Pakistan

1923-1981
zulm to ye hai ki shākī mire kirdār kā hai
ye ghanā shahr ki jañgal dar-o-dīvār kā hai
rañg phir aaj digar barg-e-dil-e-zār kā hai
shā.iba mujh ko havā par tirī raftār kā hai
us pe tohmat na dhare mere junūñ kī koī
mujh pe to saaya mire apne hī asrār kā hai
sirf ye kahnā bahut hai ki vo chup-chāp sā thā
us ko andāza mare sheva-e-guftār kā hai
kis ne kis haal meñ chhoḌā thā vafā kā dāman
mas.ala ye to mirī jaañ baḌī takrār kā hai
raat bhar niiñd na aane kā gilā kis se karūñ
is meñ bhī haath mire tāla-e-bedār kā hai
dard kī dhuup se bachne ke taraddud meñ khulā
silsila tā-ba-ufuq ḳhauf ke ashjār kā hai
rāt-din khoj meñ dariyā kī sadā rahtī hai
aadmī koī tire gaañv meñ us paar kā hai
har ghaḌī mohtasib-e-shahr ho maujūd jahāñ
kaam is bazm meñ kyā mujh se gunahgār kā hai
jhūlnā daar pe is ahd meñ āsāñ hai magar
marhala saḳht bahut jur.at-e-iz.hār kā hai
zindagī sā.at-e-maujūd ke qadmoñ meñ jhukāo
faisla aaj yahī vaqt ke darbār kā hai
kis na.e ġham se charāġhāñ hai nazar mahfil-e-jāñ
rañg kuchh aur hī ab ke tire ash.ār kā hai
Top Urdushayar.com