ḳhud ko paane kī talab meñ aarzū us kī bhī thī
maiñ jo mil jaatā to us meñ aabrū us kī bhī thī
zindagī ik dūsre ko DhūñDne meñ kaT ga.ī
justujū merī bhī dushman thī adū us kī bhī thī
merī bātoñ meñ bhī talḳhī thī sam-e-tanhā.ī kī
zahr-e-tanhā.ī meñ Duubī guftugū us kī bhī thī
vo gayā to karvaTeñ le le ke pahlū thak ga.e
kis tarah sotā mire sāñsoñ meñ bū us kī bhī thī
raat bhar āñkhoñ meñ us kā marmarīñ paikar rahā
chāñdnī ke jhilmilāne meñ numū us kī bhī thī
ghar se us kā bhī nikalnā ho gayā āḳhir muhāl
merī rusvā.ī se shohrat kū-ba-kū us kī bhī thī
maiñ huā ḳhā.if to us ke bhī uḌe hosh-o-havās
merī jo sūrat huī vo hū-ba-hū us kī bhī thī
kuchh mujhe bhī sīdhe-sādhe rāstoñ se bair hai
kuchh bhaTak jaane ke baa.is justujū us kī bhī thī
vo jise saare zamāne ne kahā merā raqīb
maiñ ne us ko ham-safar jaanā ki tū us kī bhī thī
dasht-e-furqat kā safar bhī āḳhirash tai ho gayā
aur kuchh din saath detā aarzū us kī bhī thī
baat baḌhne ko to baḌh jaatī bahut lekin 'nazar'
maiñ bhī kuchh kam-go thā chup rahne kī ḳhū us kī bhī thī