Zuhoor Nazar

chhoD kar dil mein gai wahshi hawa kuchh bhi nahin

Zuhoor Nazar

Sahiwal, Punjab, Pakistan

1923-1981
chhoḌ kar dil meñ ga.ī vahshī havā kuchh bhī nahīñ
kis qadar gunjān jañgal thā rahā kuchh bhī nahīñ
ḳhāk-e-pā-e-yād tak giilī havā ne chaaT lī
ishq kī ġharqāb bastī meñ bachā kuchh bhī nahīñ
haal ke zindāñ se bāhar kuchh nahīñ juz rūd-e-marg
aur is zindāñ meñ juz zanjīr-e-pā kuchh bhī nahīñ
hijr ke kaale samundar kā nahīñ sāhil koī
mauja-e-tūfān-e-dahshat se varā kuchh bhī nahīñ
ābanā.e-dard ke donoñ taraf hai dasht-e-ḳhauf
ab to chāra jaan dene ke sivā kuchh bhī nahīñ
haath merā ai mirī parchhā.īñ tū hī thaam le
ek muddat se mujhe to sūjhtā kuchh bhī nahīñ
shahr-e-shab meñ kaun sā ghar thā na dī jis par sadā
niiñd ke andhe musāfir ko milā kuchh bhī nahīñ
raat bhar ik chaap sī phirtī rahī chāroñ taraf
jān-levā ḳhauf thā lekin huā kuchh bhī nahīñ
kāsa-e-jāñ haath meñ le kar ga.e the ham vahāñ
laa.e us dar se ba-juz ḳhūn-e-sadā kuchh bhī nahīñ
umr bhar umr-e-gurezāñ se na merī ban sakī
jo kare kartī rahe maiñ pūchhtā kuchh bhī nahīñ
vo bhī shāyad ro paḌe vīrān kāġhaz dekh kar
maiñ ne us ko āḳhirī ḳhat meñ likhā kuchh bhī nahīñ
daulat-e-tanhā.ī bhī aane se tere chhin ga.ī
ab to mere paas ai jān-e-vafā kuchh bhī nahīñ
dil pe lākhoñ lafz kanda kar ga.ī us kī nazar
aur kahne ko abhī us ne kahā kuchh bhī nahīñ
Top Urdushayar.com