ishq meñ ma.arke balā ke rahe
āḳhirash ham shikast khā ke rahe
ye alag baat hai ki haare ham
hashr ik baar to uThā ke rahe
safar-e-ġham kī baat jab bhī chalī
tazkire tere naqsh-e-pā ke rahe
jab bhī aa.ī koī ḳhushī kī ghaḌī
din ġhamoñ ke bhī yaad aa ke rahe
jis meñ saarā hī shahr dafn huā
faisle sab aTal havā ke rahe
apnī sūrat bigaḌ ga.ī lekin
ham unheñ ā.īna dikhā ke rahe
hoñT tak sī diye the phir bhī 'nazar'
zulm kī dāstāñ sunā ke rahe