vo zindagī hai us ko ḳhafā kyā kare koī
paanī ko sāhiloñ se judā kyā kare koī
bārish kā pahlā qatra hī bastī Dubo gayā
ab apnī jaañ kā qarz adā kyā kare koī
jab gard uḌ rahī ho harīm-e-ḳhayāl meñ
ā.īna dekhne ke sivā kyā gire koī
vo kyā ga.e ki shahr hī vīrān ho gayā
ab jañgaloñ meñ rah ke sadā kyā kare koī
apne badan kī aag se sham.eñ jalā.iye
kachche gharoñ meñ jashn-e-hinā kyā kare koī
zahrāb-e-zindagī to ragoñ meñ utar gayā
ab ai ġham-e-firāq batā kyā kare koī
miTTī se kheltā huā rizq-e-havā huā
'aḳhtar' ab aur sharh-e-vafā kyā kare koī