Akhtar Hoshiyarpuri

dar-o-diwar pe ek saya paDa hai dekho

Akhtar Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1918-2007

dar-o-dīvār pe ik saaya paḌā hai dekho

mere raste meñ koī jaise khaḌā hai dekho

zarra-e-ḳhāk ko sar par liye phirtī hai havā

aur patthar ki zamīñ meñ gaḌā hai dekho

is qadar bhiiḌ hai raste meñ ki chalnā hai muhāl

aur bādal ki abhī sar pe khaḌā hai dekho

apnī zaat ke saa.e meñ chhupā baiThā huuñ

ki mirā saaya bhī to mujh se baḌā hai dekho

mauj-e-dariyā ko samundar se mafar mushkil hai

lauT bhī aao ki ye rasta kaḌā hai dekho

koī to aa.e mujhe aa ke bachā.e is se

merī dahlīz pe ik shaḳhs khaḌā hai dekho

sar pe tūfān bhī hai sāmne girdāb bhī hai

merī himmat ki vahī kachchā ghaḌā hai dekho

sar kaTā kar bhī khaḌā huuñ sar-e-maidāñ aḳhtar

is tarah jañg yahāñ kaun laḌā hai dekho

Top Urdushayar.com