jo dil ne kah dī hai vo baat an-kahī bhī na thī
ye mauj to tah-e-dariyā kabhī rahī bhī na thī
jhukeñ jo sochtī palkeñ to merī duniyā ko
Dubo ga.ī vo nadī jo abhī bahī bhī na thī
sarak gayā koī saayā simaT gayā koī duur
kisī ke aks kī pyāsī kashish sahī bhī na thī
sunī jo baat koī an-sunī to yaad aayā
vo dil ki jis kī kahānī kabhī kahī bhī na thī
nagar nagar vahī āñkheñ pas-e-zamāñ pas-e-dar
mirī ḳhatā kī sazā umr-e-gumrahī bhī na thī
kisī kī ruuh tak ik fāsla ḳhayāl kā thā
kabhī kabhī to ye duurī rahī-sahī bhī na thī
nashe kī rau meñ ye jhalkā hai kyuuñ nashe kā shu.ūr
is aag meñ to koī āb-e-āgahī bhī na thī
ġhamoñ kī raakh se 'amjad' vo ġham tulūa hue
jinheñ nasīb ik āh-e-sahr-e-gahī bhī na thī