tire farq-e-nāz pe taaj hai mire dosh-e-ġham pe galīm hai
tirī dāstāñ bhī aziim hai mirī dāstāñ bhī aziim hai
mirī kitnī sochtī sub.hoñ ko ye ḳhayāl zahr pilā gayā
kisī tapte lamhe kī aah hai ki ḳhirām-e-mauj-e-nasīm hai
tah-e-ḳhāk kirmak-e-dāna jo bhī sharīk-e-raqs-e-hayāt hai
na bas ek jalva-e-tūr hai na bas ek shauq-e-kalīm hai
ye har ek samt masāfatoñ meñ guñdhī paḌī haiñ jo sā.ateñ
tirī zindagī mirī zindagī inhī mausamoñ kī shamīm hai
kahīñ mahmaloñ kā ġhubār uḌe kahīñ manziloñ ke diye jaleñ
ḳham-e-āsmāñ rah-e-kārvāñ na maqām hai na muqīm hai
haram aur dair fasāna hai yahī jaltī saañs zamāna hai
yahī gosha-e-dil-e-nā-subūr hī kunj-e-bāġh-e-na.īm hai