kyā ruup dostī kā kyā rañg dushmanī kā
koī nahīñ jahāñ meñ koī nahīñ kisī kā
ik tinkā āshiyāna ik rāgnī asāsa
ik mausam-e-bahārāñ mehmān do ghaḌī kā
āḳhir koī kinārā is sail-e-be-karāñ kā
āḳhir koī mudāvā is dard-e-zindagī kā
merī siyāh shab ne ik umr aarzū kī
larze kabhī ufuq par taagā sā raushnī kā
shāyad idhar se guzre phir bhī tirā safīna
baiThā huā huuñ sāhil par nai-ba-lab kabhī kā
is iltifāt par hoñ laakh iltifāt qurbāñ
mujh se kabhī na pherā ruḳh tū ne be-ruḳhī kā
ab merī zindagī meñ aañsū haiñ aur na aaheñ
lekin ye ek mīThā mīThā sā rog jī kā
o muskurāte taaro o khilkhilāte phūlo
koī ilaaj merī āshufta-ḳhātirī kā