Majeed Amjad

meri manind KHud-nigar tanha

Majeed Amjad

Jhang, Punjab, Pakistan

1914-1976
merī mānind ḳhud-nigar tanhā
ye surāhī meñ phuul nargis kā
itnī sham.eñ thiiñ terī yādoñ kī
apnā saaya bhī apnā saaya na thā
mere nazdīk terī duurī thī
koī manzil thī koī aalam thā
haa.e vo zindagī-fareb āñkheñ
tū ne kyā sochā maiñ ne kyā samjhā
subah kī dhuup hai ki rastoñ par
munjamid bijliyoñ kā ik dariyā
ghuñgrūoñ kī jhanak-manak meñ basī
terī āhaT! maiñ kis ḳhayāl meñ thā
phir kahīñ dal ke burj par koī aks
fāsloñ kī fasīl se ubhrā
phuul murjhā na jaa.eñ bajroñ meñ
māñjhiyo koī giit sāhil kā
vaqt kī sarhadeñ simaT jātīñ
terī duurī se kuchh ba.iid na thā
umr jaltī hai baḳht jalvoñ ke
ziist miTtī hai bhaag miTTī kā
raheñ dardoñ kī chaukiyāñ chaukas
phuul lohe kī baaḌ par bhī khilā
jo ḳhud un ke diloñ meñ thā tah-e-sañg
vo ḳhazāna kisī kisī ko milā
laakh qadreñ thiiñ zindagānī kī
ye muhīt ik ajiib zāviya thā
hai jo ye sar pe gyaan kī gaThrī
khol kar bhī ise kabhī dekhā
roz jhuktā hai kū-e-dil kī taraf
kāḳh-e-sad-bām kā koī ziinā
Top Urdushayar.com