junūn-e-ishq kī rasm-e-ajīb kyā kahnā
maiñ un se duur vo mere qarīb kyā kahnā
ye tīragi-e-musalsal meñ ek vaqfa-e-nūr
ye zindagī kā tilism-e-ajīb kyā kahnā
jo tum ho barq-e-nasheman to maiñ nasheman-e-barq
ulajh paḌe haiñ hamāre nasīb kyā kahnā
hujūm-e-rañg farāvāñ sahī magar phir bhī
bahār nauha-e-sad andalīb kyā kahnā
hazār qāfila-e-zindagī kī tīra-shabī
ye raushnī sī ufuq ke qarīb kyā kahnā
laraz ga.ī tirī lau mere Dagmagāne se
charāġh-e-gosha-e-kū-e-habīb kyā kahnā