Majeed Amjad

bacha ke rakkha hai jis ko ghurub-e-jaan ke liye

Majeed Amjad

Jhang, Punjab, Pakistan

1914-1976
bachā ke rakkhā hai jis ko ġhurūb-e-jāñ ke liye
ye ek sub.h to hai sair-e-bostāñ ke liye
chaleñ kahīñ to siyah-dil zamānoñ meñ hoñgī
farāġhateñ bhī is ik sidq-e-rā.egāñ ke liye
likhe haiñ lauhoñ par jo murda lafz un meñ ji.eñ
is apnī ziist ke asrār ke bayāñ ke liye
pukārtī rahī bansī bhaTak ga.e revaḌ
na.e giyāh na.e chashma-e-ravañ ke liye
sahar ko niklā huuñ meñh meñ akelā kis ke liye
daraḳht abr huā bū-e-ham-rahāñ ke liye
savād-e-nūr se dekheñ to tab surāġh mile
ki kis maqām kī zulmat hai kis jahāñ ke liye
to raushnī ke malīde meñ rizq kī ḳhātir
maiñ raushnā.ī ke guude meñ āb-o-nāñ ke liye
taras rahe haiñ sadā ḳhisht ḳhisht lamhoñ ke des
jo mere dil meñ hai is shahr-e-be-makāñ ke liye
ye nain jaltī lavoñ jiitī nekiyoñ vaale
ghane bahishtoñ kā saaya haiñ arz-e-jāñ ke liye
zamīr-e-ḳhāk meñ ḳhufta hai merā dil 'amjad'
ki niiñd mujh ko milī ḳhvāb-e-raftagāñ ke liye
Top Urdushayar.com