kabhī to soch tire sāmne nahīñ guzre
vo sab samay jo tire dhyān se nahīñ guzre
ye aur baat ki huuñ un ke darmiyāñ maiñ bhī
ye vāqiye kisī taqrīb se nahīñ guzre
un ā.inoñ meñ jale haiñ hazār aks-e-adam
davām-e-dard tire ratjage nahīñ guzre
supurdagī meñ bhī ik ramz-e-ḳhud-nigah-dārī
vo mere dil se mire vāste nahīñ guzre
bikhartī lahroñ ke saath un dinoñ ke tinke bhī the
jo dil meñ bahte hue ruk ga.e nahīñ guzre
unheñ haqīqat-e-dariyā kī kyā ḳhabar 'amjad'
jo apnī ruuh kī mañjdhār se nahīñ guzre