saare ilzām bhuul jaatā huuñ
maiñ to dushnām bhuul jaatā huuñ
roz maiñ pūchhtā huuñ terā naam
roz maiñ naam bhuul jaatā huuñ
dekhtā huuñ bikharte phūloñ ko
apnā anjām bhuul jaatā huuñ
aisā chaskā lagā hai bātoñ kā
ghar kā har kaam bhuul jaatā huuñ
yaad kartā huuñ us ko saarā din
aur sar-e-shām bhuul jaatā huuñ
aisā masrūf kar liyā ḳhud ko
aksar ārām bhuul jaatā huuñ
ḳhush tujhe dekh kar maiñ apne bhī
ġham-o-ālām bhuul jaatā huuñ
vo galī tujh pe band hai lekin
dil-e-nākām bhuul jaatā huuñ
dekhtā huuñ tujhe qarīb se aa
maiñ tirā naam bhuul jaatā huuñ
kyuuñ sitam us ke bārhā 'fārūq'
gām-dar-gām bhuul jaatā huuñ