Majeed Amjad

jawedan qadron ki shaMein bujh gain to jal uThi taqdir-e-dil

Majeed Amjad

Jhang, Punjab, Pakistan

1914-1976
jāvedāñ qadroñ kī sham.eñ bujh ga.iiñ to jal uThī taqdīr-e-dil
aaj is miTTī ke har zī-rūh zarre meñ bhī hai tasvīr-e-dil
apne dil kī raakh chun kar kaash in lamhoñ kī bahtī aag meñ
maiñ bhī ik sayyāl sho.ale ke varaq par likh sakūñ tafsīr-e-dil
maiñ na samjhā varna hañgāmoñ bharī duniyā meñ ik aahaT ke sañg
koī to thā aaj jis kā qahqaha dil meñ hai dāman-gīr-e-dil
rut badalte hī chaman chū ham-safīr ab ke bhī kosoñ duur se
aa ke jab is shāḳh par chahke mire dil meñ bajī zanjīr-e-dil
kyā safar thā be-sadā sadiyoñ ke pul ke us taraf us moḌ tak
pai-ba-pai ubhrā sunahrī gard se ik nāla-e-dil-gīr-e-dil
vaar duniyā ne kiye mujh par to 'amjad' maiñ ne is ghamsān meñ
apnā siina chiir kar rakh dī niyām-e-harf meñ shamshīr-e-dil
Top Urdushayar.com