safar kī mauj meñ the vaqt ke ġhubār meñ the
vo log jo abhī is qarya-e-bahār meñ the
vo ek chehre pe bikhre ajab ajab se ḳhayāl
maiñ sochtā to vo ġham mere iḳhtiyār meñ the
vo hoñT jin meñ thā mīThī sī ek pyaas kā ras
maiñ jāntā to vo dariyā mire kanār meñ the
mujhe ḳhabar bhī na thī aur ittifāq se kal
maiñ us taraf se jo guzrā vo intizār meñ the
maiñ kuchh samajh na sakā merī zindagī ke vo ḳhvāb
in añkhḌiyoñ meñ jo tere the kis shumār meñ the
maiñ dekhtā thā vo aa.e bhī aur chale bhī ga.e
abhī yahīñ the abhī gard-e-roz-gār meñ the
maiñ dekhtā thā achānak ye āsmāñ ye kare
bas ek pal ko ruke aur phir madār meñ the
hazār bhes meñ sayyār mausamoñ ke safīr
tamām-umr mirī ruuh ke dayār meñ the