kyā sochte ho ab phūloñ kī rut biit ga.ī rut biit ga.ī
vo raat ga.ī vo baat ga.ī vo riit ga.ī rut biit ga.ī
ik lahr uThī aur Duub ga.e hoñToñ ke kañval ā.ankhoñ ke diye
ik gūñjtī āñdhī vaqt kī baazī jiit ga.ī rut biit ga.ī
tum aa ga.e merī bāhoñ meñ kaunain kī peñgeñ jhuul ga.iiñ
tum bhuul ga.e, jiine kī jagat se riit ga.ī rut biit ga.ī
phir tair ke mere ashkoñ meñ gul-posh zamāne lauT chale
phir chheḌ ke dil meñ Tīsoñ ke sañgīt ga.ī rut biit ga.ī
ik dhyān ke paañv Dol ga.e ik soch ne baḌh kar thaam liyā
ik aas hañsī ik yaad sunā kar giit ga.ī rut biit ga.ī
ye lāla-o-gul kyā pūchhte ho sab lutf-e-nazar kā qissa hai
rut biit ga.ī jab dil se kisī kī piit ga.ī rut biit ga.ī