Majeed Amjad

jab ek charagh-e-rahguzar ki kiran paDe

Majeed Amjad

Jhang, Punjab, Pakistan

1914-1976
jab ik charāġh-e-rāhguzar kī kiran paḌe
hoñToñ kī lau latīf hijāboñ se chhan paḌe
shāḳh-e-abad se jhaḌte zamānoñ kā ruup hai
ye log jin ke ruḳh pe gumān-e-chaman paḌe
ye kis hasīñ dayār kī ThanDī havā chalī
har mauja-e-ḳhayāl pe sad-hā shikan paḌe
ye kaun hai laboñ meñ rasīlī ruteñ ghulīñ
palkoñ kī oT niiñd meñ gul-gūñ gagan paḌe
ik pal bhī kū-e-dil meñ na Thahrāo rah-navard
ab jis ke naqsh-e-pā meñ chaman-dar-chaman paḌe
ik jast is taraf bhī ġhazāl-e-zamāna-raqs
rah terī dekhte haiñ ḳhatā o ḳhutan paḌe
jab anjuman tavajjoh-e-sad-guftugū meñ ho
merī taraf bhī ik nigah-e-kam-suḳhan paḌe
sahrā-e-zindagī meñ jidhar bhī qadam uThe
raste meñ ek ārzūoñ kā chaman paḌe
is jaltī dhuup meñ ye ghane sāya-dār peḌ
maiñ apnī zindagī unheñ de duuñ jo ban paḌe
ai shātir-e-azal tire hāthoñ ko chuum luuñ
qarye meñ mere naam jo dīvāna-pan paḌe
ai sub.h-e-der-ḳhez unheñ āvāz de jo hai
ik shām-e-zūd-ḳhvāb ke sukh meñ magan paḌe
'amjad' tarīq-mai meñ hai ye ehtiyāt shart
ik daaġh bhī kahīñ na sar-e-pairahan paḌe
Top Urdushayar.com