ravish ravish pe haiñ nik.hat-fashāñ gulāb ke phuul
hasīñ gulāb ke phuul arġhavāñ gulāb ke phuul
jahān-e-girya-e-shabnam se kis ġhurūr ke saath
guzar rahe haiñ tabassum-kunāñ gulāb ke phuul
ye merā dāman-e-sad-chāk ye ridā-e-bahār
yahāñ sharāb ke chhīñTe vahāñ gulāb ke phuul
ḳhayāl-e-yār tire silsile nashoñ kī ruteñ
jamāl-e-yār tirī jhalkiyāñ gulāb ke phuul
mirī nigāh meñ daur-e-zamāñ kī har karvaT
lahū kī lahr diloñ kā dhuāñ gulāb ke phuul
sulagte jaate haiñ chup-chāp hañste jaate haiñ
misāl-e-chehra-e-paiġhambarāñ gulāb ke phuul
ye kyā tilism hai ye kis kī yāsmīñ bāñheñ
chhiḌak ga.ī haiñ jahāñ-dar-jahāñ gulāb ke phuul
kaTī hai umr bahāroñ ke sog meñ 'amjad'
mirī lahad pe khileñ jāvedāñ gulāb ke phuul