Majeed Amjad

baras gaya ba-KHarabaat-e-arzu tera gham

Majeed Amjad

Jhang, Punjab, Pakistan

1914-1976
baras gayā ba-ḳharābāt-e-ārzū tirā ġham
qadah qadah tirī yādeñ subū subū tirā ġham
tire ḳhayāl ke pahlū se uTh ke jab dekhā
mahak rahā thā zamāne meñ chār-sū tirā ġham
ġhubār-e-rañg meñ ras DhūñDhtī kiran tirī dhun
giraft-e-sañg meñ bal khātī āb-e-jū tirā ġham
nadī pe chāñd kā partav tirā nishān-e-qadam
ḳhat-e-sahar pe añdheroñ kā raqs tū tirā ġham
naḳhīl-e-zīst kī chhāñv meñ nai-ba-lab tirī yaad
fasīl-e-dil kī kalas par sitāra-jū tirā ġham
tulū-e-mahr shagufta sahar siyāhī-e-shab
tirī talab tujhe paane kī aarzū tirā ġham
nigah uThī to zamāne ke sāmne tirā ruup
palak jhukī to mire dil ke rū-ba-rū tirā ġham
Top Urdushayar.com