Akhtar Hoshiyarpuri

tilism-e-gumbad-e-be-dar kisi pe wa na hua

Akhtar Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1918-2007
tilism-e-gumbad-e-be-dar kisī pe vā na huā
sharar to lapkā magar shola-e-sadā na huā
hameñ zamāne ne kyā kyā na aa.ine dikhlā.e
magar vo aks jo ā.īna-āshnā na huā
bayāz-e-jāñ meñ sabhī sher ḳhūb-sūrat the
kisī bhī misra-e-rañgīñ kā hāshiyā na huā
na jaane log Thaharte haiñ vaqt-e-shām kahāñ
hameñ to ghar meñ bhī rukne kā hauslā na huā
vo shahr aaj bhī mere lahū meñ shāmil hai
vo jis se tark-e-ta.alluq ko ik zamānā huā
yahī nahīñ ki sar-e-shab qayāmateñ TūTīñ
sahar ke vaqt bhī in bastiyoñ meñ kyā na huā
maiñ dasht-e-jāñ meñ bhaTak kar Thahar gayā 'aḳhtar'
phir is ke baad mirā koī rāstā na huā
Top Urdushayar.com