ek ek jharokā ḳhanda-ba-lab ek ek galī kohrām
ham lab se lagā kar jaam hue badnām baḌe badnām
rut badlī ki sadiyāñ lauT aa.iiñ uf yaad kisī kī yaad
phir sail-e-zamāñ meñ tair gayā ik naam kisī kā naam
dil hai ki ik ajnabī-e-hairāñ tum ho ki parāyā des
nazroñ kī kahānī ban na sakīñ hoñToñ pe ruke paiġhām
rauñdeñ to ye kaliyāñ nīsh-e-balā chūmeñ to ye sho.ale phuul
ye ġham ye kisī kī den bhī hai in.aam ajab in.aam
ai tīrgiyoñ kī ghūmtī rau koī to rasīlī sub.h
ai raushniyoñ kī Doltī lau ik shaam nashīlī shaam
rah rah ke jiyāle rāhiyoñ ko detā hai ye kaun āvāz
kaunain kī hañstī muñDeroñ par tum ho ki ġham-e-ayyām
be-barg shajar gardūñ kī taraf phailā.eñ humakte haat
phūloñ se bharī Dhalvān pe sūkhe paat kareñ bisrām
ham fikr meñ haiñ is aalam kā dastūr hai kyā dastūr
ye kis ko ḳhabar is fikr kā hai dastūr-e-do-ālam naam