dil se har guzrī baat guzrī hai
kis qayāmat kī raat guzrī hai
chāñdnī nīm-vā darīcha sukūt
āñkhoñ āñkhoñ meñ raat guzrī hai
haa.e vo log ḳhūbsūrat log
jin kī dhun meñ hayāt guzrī hai
tamtamātā hai chehra-e-ayyām
dil pe kyā vārdāt guzrī hai
kisī bhaTke hue ḳhayāl kī mauj
kitnī yādoñ ke saat guzrī hai
phir koī aas laḌkhaḌā.ī hai
ki nasīm-e-hayāt guzrī hai
bujhte jaate haiñ dikhtī palkoñ pe diip
niiñd aa.ī hai raat guzrī hai