Akhtar Hoshiyarpuri

baja ki dushman-e-jaan shahr-e-jaan ke bahar hai

Akhtar Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1918-2007
bajā ki dushman-e-jāñ shahr-e-jāñ ke bāhar hai
magar maiñ us ko kahūñ kyā jo ghar ke andar hai
tamām naqsh parindoñ kī tarah utre haiñ
ki kāġhazoñ pe khile pāniyoñ kā manzar hai
maiñ ek shaḳhs jo kumboñ meñ rah gayā baT kar
maiñ musht-e-ḳhāk jo taqsīm ho ke be-ghar hai
shajar kaTā to koī ghoñsla kahīñ na rahā
magar ik uḌtā parinda fazā kā zevar hai
vo ḳhauf hai ki makīñ apne apne kamroñ meñ haiñ
vo haal hai ki bayābāñ meñ vus.at-e-dar hai
kahīñ bhī peḌ nahīñ phir bhī patthar aa.e haiñ
galī meñ koī nahīñ phir bhī shor-e-mahshar hai
maiñ is vasī.a jazīre meñ vāhid insāñ huuñ
ki mere chāroñ taraf dasht kā samundar hai
koī bhī ḳhvāb na ūñchī fasīl se utrā
magar kiran ke guzarne ko rauzan-e-dar hai
tamām raushaniyāñ bujh ga.ī haiñ bastī meñ
magar vo diip ki jis kā havāoñ meñ ghar hai
kisī se mujh ko gila kyā ki kuchh kahūñ 'aḳhtar'
ki merī zaat hī ḳhud rāste kā patthar hai
Top Urdushayar.com