dasht-dar-dasht aks-e-dar hai yahāñ
tum bhī aao ki merā ghar hai yahāñ
phailtī jā rahī hai surḳh lakīr
jaise koī lahū meñ tar hai yahāñ
dhuup se bach ke jaa.eñ aur kahāñ
apnī zaat ik ghanā shajar hai yahāñ
vahī miTTī hai sab ke chehroñ par
aa.ina sab se bā-ḳhabar hai yahāñ
shāḳh-dar-shāḳh ek saaya hai
chāñd jo hai pas-e-shajar hai yahāñ
Duub kar jis meñ apnī thaah milī
lamha lamha vahī bhañvar hai yahāñ
pattharoñ meñ hazār chehre haiñ
haañ magar koī tīsha-gar hai yahāñ
kuchh mujhe bhī yahāñ qarār nahīñ
kuchh tirā ġham bhī dar-ba-dar hai yahāñ
zahr kī kaaT kis se ho 'aḳhtar'
vaqt kā marg-e-neshtar hai yahāñ