thī titliyoñ ke ta.āqub meñ zindagī merī
vo shahr kyā huā jis kī thī har galī merī
maiñ apnī zaat kī tashrīh kartā phirtā thā
na jaane phir kahāñ āvāz kho ga.ī merī
ye sarguzisht-e-zamāna ye dāstān-e-hayāt
adhūrī baat meñ bhī rah ga.ī kamī merī
havā-e-koh-e-nidā ik zarā Thahar ki abhī
zamāna ġhaur se suntā hai an-kahī merī
maiñ itne zor se chīḳhā chaTaḳh gayā hai badan
phir is ke ba.ad kisī ne nahīñ sunī merī
ye darmiyāñ kā ḳhalā hī mirā nahīñ varna
ye āsmān bhī merā zamīn bhī merī
kise ḳhabar ki guhar kaise haath aate haiñ
samundaroñ se bhī gahrī hai ḳhāmushī merī
koī to aa.e mire paas do ghaḌī baiThe
ki kar ga.ī mujhe tanhā ḳhud-āgahī merī
kabhī kabhī to zamāna rahā nigāhoñ meñ
kabhī kabhī nazar aa.ī na shakl bhī merī
mujhe ḳhabar hai kahāñ huuñ maiñ kaun huuñ 'aḳhtar'
ki mere naam se sūrat girī huī merī