Akhtar Hoshiyarpuri

dil mein ek jazba-e-bedad-o-jafa hi hoga

Akhtar Hoshiyarpuri

Hoshiarpur, Punjab, India

1918-2007
dil meñ ik jazba-e-bedād-o-jafā hī hogā
vo ḳhudā-vand bhī hogā to ḳhudā hī hogā
gard sī uḌtī nazar aatī hai āñdhī hogī
duur tak naqsh-e-qadam haiñ koī raahī hogā
ham se jo pūchhnā hai pūchh lo varna kal tak
kis ko andāza-e-nā-karda-gunāhī hogā
kahīñ girtī huī dīvāreñ kahīñ jhuktī chhateñ
aap kahte haiñ to ye qasr-e-vafā hī hogā
phuul se taraste hue log ḳharāboñ meñ kahāñ
dasht-e-vahshat meñ koī ābla-pā hī hogā
jaate jaate mire darvāze ke paT khol ga.ī
ye bhī 'aḳhtar' koī andāz-e-sabā hī hogā
Top Urdushayar.com