charāġh-e-kushta se qindīl kar rahā hai mujhe
vo dast-e-ġhaib jo tabdīl kar rahā hai mujhe
ye mere miTte hue lafz jo damak uThe haiñ
zarūr vo kahīñ tartīl kar rahā hai mujhe
maiñ jāgte meñ kahīñ ban rahā huuñ az-sar-e-nau
vo apne ḳhvāb meñ tashkīl kar rahā hai mujhe
harīm-e-nāz aur ik umr baad maiñ lekin
ye iḳhtisār jo tafsīl kar rahā hai mujhe
badan pe taaza nishāñ ban rahe haiñ jaise koī
mire ġhayāb meñ tahvīl kar rahā hai mujhe
badal rahe haiñ mire ḳhadd-o-ḳhāl 'turk' abhī
musalsal ā.īna tāvīl kar rahā hai mujhe