Zia-ul-Mustafa Turk

mere girya se na aazar uThane se hua

Zia-ul-Mustafa Turk

Sialkot, Punjab, Pakistan

1976
mere girya se na āzār uThāne se huā
fāsla tai na.ī dīvār uThāne se huā
varna ye qissa bhalā ḳhatm kahāñ honā thā
dāstāñ se mirā kirdār uThāne se huā
mahmil-e-nāz kī tāḳhīr kā ye saarā fasād
rāh-e-uftād ko bekār uThāne se huā
shaaq guzrā hai jo ahbāb ko vo sadma bhī
bazm meñ misra-e-tahdār uThāne se huā
yuuñ to mus.haf bhī uThā.e ga.e qasmeñ bhī magar
āḳhirī faisla talvār uThāne se huā
ġham nahīñ taḳht ko aur baḳht ko kho dene kā
kab mirā honā bhī dastār uThāne se huā
jāgnā thā mirā hañgāma-e-hastī kā sabab
hashr barpā bhī digar-bār uThāne se huā
gosha-e-bāġh huā ḳhuld guzarne se tire
ā.īna aks-e-ruḳh-e-yār uThāne se huā
Top Urdushayar.com