Zia-ul-Mustafa Turk

kahin ye lamha-e-maujud wahima hi na ho

Zia-ul-Mustafa Turk

Sialkot, Punjab, Pakistan

1976
kahīñ ye lamha-e-maujūd vāhima hī na ho
jo ho rahā hai ye sab pahle ho chukā hī na ho
vo sadma jis ke sabab maiñ huuñ sar-ba-zānū abhī
ajab nahīñ mirī dānist meñ huā hī na ho
tire ġhayāb meñ jo kuchh kiyā hikāyat maiñ
kahīñ vo gufta o nā-gufta se sivā hī na ho
kalām kartī huī lahreñ chup na hoñ mire baad
mire liye kahīñ paanī rukā huā hī na ho
guzartī shaam daraḳht aabjū sukūt aur maiñ
suḳhan-misāl ye manzar bhī gūñjtā hī na ho
ye kyā ki maiñ nayā chehra liye uThūñ har roz
ye kyā ki 'turk' mirā ḳhvāb TūTtā hī na ho
Top Urdushayar.com