Zia-ul-Mustafa Turk

dinon mein din the shabon mein shaben paDi hui thin

Zia-ul-Mustafa Turk

Sialkot, Punjab, Pakistan

1976
dinoñ meñ din the shaboñ meñ shabeñ paḌī huī thiiñ
sabhī kahāniyāñ ik taaq meñ paḌī huī thiiñ
azaan gūñjī to mehrāb meñ koī bhī na thā
bas ek rehl pe kuchh āyateñ paḌī huī thiiñ
sunā.ī detā hai ab bhī muqaddas aag ke gird
vo lahn jis meñ ka.ī hairateñ paḌī huī thiiñ
mujhe navāzā to peshānī par likhā us ne
vo naam jis meñ sabhī nisbateñ paḌī huī thiiñ
charāġh auñdhe paḌe the zamīn par saare
aur un ke paas meñ un kī laveñ paḌī huī thiiñ
na barg-o-bār hī laa.e na sā.ebāñ hue 'turk'
hamārī shāḳhoñ pe kaisī girheñ paḌī huī thiiñ
Top Urdushayar.com