jis bhī lafz pe uñgliyāñ rakh de saaz kare
nazm kī marzī kaise bhī āġhāz kare
kaun lagā.e qadġhan ḳhvāb meñ ashiyā par
aa.ina haath milā.e aks āvāz kare
jab bachchoñ ko dekhtā huuñ to sochtā huuñ
mālik in phūloñ kī umr darāz kare
sote jāgte kuchh bhī boltā rahtā huuñ
kaun bhalā mujh aise ko hamrāz kare
qadam qadam par in kī zarūrat paḌtī hai
aañkh se kahnā aañsū pas-andāz kare