kitne hī faisle kiye par kahāñ ruk sakā huuñ maiñ
aaj bhī apne vaqt par ghar se nikal paḌā huuñ maiñ
abr se aur dhuup se rishta hai ek sā mirā
aa.ine aur charāġh ke biich kā fāsla huuñ maiñ
tujh ko chhuā to der tak ḳhud ko hī DhūñDtā rahā
itnī sī der meñ bhalā tujh se kahāñ milā huuñ maiñ
ḳhushbū tire vajūd kī ghere hue hai aaj bhī
tere laboñ kā zā.iqa bhuul nahīñ sakā huuñ maiñ
āyatoñ jaise nā-gahāñ jāvedāñ lams kī qasam
tere achhūte jism kā pahlā mukālima huuñ maiñ
vaise to merā dā.era puurā nahīñ huā abhī
aisī hī koī qaus thī jis se juḌā huā huuñ maiñ
jitnī bhī tez dhuup ho shāḳheñ haiñ mehrbāñ tirī
chhāñv parā.ī hī sahī saañs to le rahā huuñ maiñ