Zia-ul-Mustafa Turk

suraj nikalne sham ke Dhalne mein aa rahun

Zia-ul-Mustafa Turk

Sialkot, Punjab, Pakistan

1976
sūraj nikalne shaam ke Dhalne meñ aa rahūñ
maiñ kyā ajab rutoñ ke badalne meñ aa rahūñ
bārish barasne dhuup ke khilne meñ huuñ sharīk
shāḳhoñ pe koñpaloñ ke nikalne meñ aa rahūñ
bahne lagūñ kināroñ ko chhūte hue kahīñ
dariyā ke lahr lahr machalne meñ aa rahūñ
ruk jā.ūñ Tahniyoñ ko balā kar zarā sī der
phir se havā chale to maiñ chalne meñ aa rahūñ
gandum kī bāliyoñ meñ banoñ zā.iqa kahīñ
miTTī ko chūmūñ phūlne-phalne meñ aa rahūñ
tujh meñ samā na jā.ūñ agar merā bas chale
ye dil dhaḌakne saañs ke chalne meñ aa rahūñ
ho jā.ūñ 'turk' taaq hī is ḳhvāb-gāh kā
lau kī tarah charāġh ke jalne meñ aa rahūñ
Top Urdushayar.com