Zia-ul-Mustafa Turk

phir usi dhun mein usi dhyan mein aa jata hun

Zia-ul-Mustafa Turk

Sialkot, Punjab, Pakistan

1976
phir usī dhun meñ usī dhyān meñ aa jaatā huuñ
tujhe miltā huuñ to ausān meñ aa jaatā huuñ
be-nishāñ ho rahūñ jab tak tirī āvāz ke saath
phir kisī lafz sā imkān meñ aa jaatā huuñ
jism se jaise ta.alluq nahīñ rahtā koī
beshtar dīda-e-hairān meñ aa jaatā huuñ
shāḳh-e-gul se jo havā haath milātī hai kahīñ
isī asnā isī daurān meñ aa jaatā huuñ
tū kisī sub.h sī āñgan meñ utar aatī hai
maiñ kisī dhuup sā dālān meñ aa jaatā huuñ
Top Urdushayar.com