aisī bhī sūrat-e-hālāt na samjhī jaa.e
merī paspā.ī mirī maat na samjhī jaa.e
ye to raste mujhe le aa.e haiñ terī jānib
ye mulāqāt mulāqāt na samjhī jaa.e
ba.az auqāt maiñ nashshe meñ nahīñ bhī hotā
merī har baat mirī baat na samjhī jaa.e
ab to sahrā bhī mire saath safar karte haiñ
sirf vahshat hī mire saath na samjhī jaa.e
faisle saare kahīñ aur huā karte haiñ
merī rusvā.ī mire haath na samjhī jaa.e
vaqt aane pe galā apnā dabā saktā huuñ
itnī kamzor mirī zaat na samjhī jaa.e