havā ke saath safar iḳhtiyār karnā thā
dayār-e-shab ko ḳhamoshī se paar karnā thā
hamārī ḳhaak koī chāñdnī meñ Daal aa.e
hamārā kaam sitāre shikār karnā thā
huī thī is liye tāḳhīr tum se milne meñ
ḳhud apnā bhī to mujhe intizār karnā thā
tumhāre vāste karnā thā maiñ ne ḳhud ko talāsh
tumhāre vāste maiñ ne farār karnā thā
abhī se tum ne mujhe be-kanār kar Daalā
abhī to tum ne mujhe ham-kanār karnā thā
hamārī samt bhī ik sikka muskurāhaT kā
hameñ bhī apnī re.āyā shumār karnā thā
falak to bhuul bhī saktā thā laġhzisheñ 'saifī'
magar zamīñ ne bahut sharmsār karnā thā