yuuñ to kyā kyā log chhupe the darvāzoñ ke pīchhe
maiñ hī bas uḌtā rahtā thā āvāzoñ ke pīchhe
ḳhuun kā ik qatra varna phir maut kā nashsha hogā
par aisī shai kab hotī hai parvāzoñ ke pīchhe
vo to log banā dete haiñ pur-asrār fazā ko
aksar koī raaz nahīñ hotā rāzoñ ke pīchhe
mausīqār ke bas meñ kab hai lai ko lau meñ Dhāle
ek an-dekhā haat bhī hotā hai sāzoñ ke pīchhe
phir to apne ḳhuun meñ tair ke paar utarnā hogā
talvāroñ kī fasl ho jab tīr-andāzoñ ke pīchhe
tamġha pension beva bachche māyūsī tanhā.ī
ek kahānī rah jaatī hai jāñ-bāzoñ ke pīchhe
ab to har chaukhaT par māthā Tek rahe ho 'saifī'
aur agar dīvāreñ nikleñ darvāzoñ ke pīchhe